sada-o-saz ka jahan bana ke dekhte hain hum
sadā-o-sāz kā jahāñ banā ke dekhte haiñ ham
na.ī ġhazal kā qāfiya uThā ke dekhte haiñ ham
vo jin kī muddatoñ se aa.ī ḳhair kī ḳhabar nahīñ
unheñ kanār-e-dasht-e-jāñ meñ jā ke dekhte haiñ ham
qayām dil ke faiz se haiñ ek dil meñ kar chuke
nazar jo ab raqīb se milā ke dekhte haiñ ham
haiñ qarya qarya dhuup meñ jhulas ga.e to kyā huā
sa.ūbatoñ ko ziist kī harā ke dekhte haiñ ham
kisī pe hālat-e-dil-e-tabāh khul nahīñ sake
nazar zamīn se na yuuñ uThā ke dekhte haiñ ham
mizāj-āshnā.iyoñ kī fursateñ na laao tum
karam-navāziyoñ ko ab girā ke dekhte haiñ ham
buland mauj ko sadā hai aa ke naav gher le
ki hausle zarā se nāḳhudā ke dekhte haiñ ham
sada-o-saz ka jahan bana ke dekhte hain hum
nai ghazal ka qafiya uTha ke dekhte hain hum
wo jin ki muddaton se aai KHair ki KHabar nahin
unhen kanar-e-dasht-e-jaan mein ja ke dekhte hain hum
qayam dil ke faiz se hain ek dil mein kar chuke
nazar jo ab raqib se mila ke dekhte hain hum
hain qarya qarya dhup mein jhulas gae to kya hua
saubaton ko zist ki hara ke dekhte hain hum
kisi pe haalat-e-dil-e-tabah khul nahin sake
nazar zamin se na yun uTha ke dekhte hain hum
mizaj-ashnaiyon ki fursaten na lao tum
karam-nawaziyon ko ab gira ke dekhte hain hum
buland mauj ko sada hai aa ke naw gher le
ki hausle zara se naKHuda ke dekhte hain hum
- Book : Inpage File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.