sada rahi ho bhale kitni be-qarar uski
sadā rahī ho bhale kitnī be-qarār us kī
mujhī tak aa ke rukī hai sadā pukār us kī
chaman gavāra kare 'umr ḳhush-gavarī meñ
khilā rahī hai jo gul shāḳh-e-nau-bahār us kī
guzartā hai to 'ajab ḳhushbueñ bikhertā hai
qadam qadam pe mahaktī hai rahguzār us kī
thamā.e thamtā nahīñ dard mere siine kā
rukā.e ruktī nahīñ āñsuoñ kī dhaar us kī
sañvārtā hai bahut ḳham tū us kī zulfoñ ke
kabhī to bahr-e-ḳhudā ādateñ sudhār us kī
qabā miyān hai us kī ki bhuul se bhī kahīñ
kisī badan ko na lag jaa.e tez dhaar us kī
sada rahi ho bhale kitni be-qarar us ki
mujhi tak aa ke ruki hai sada pukar us ki
chaman gawara kare 'umr KHush-gawari mein
khila rahi hai jo gul shaKH-e-nau-bahaar us ki
guzarta hai to 'ajab KHushbuen bikherta hai
qadam qadam pe mahakti hai rahguzar us ki
thamae thamta nahin dard mere sine ka
rukae rukti nahin aansuon ki dhaar us ki
sanwarta hai bahut KHam tu us ki zulfon ke
kabhi to bahr-e-KHuda aadaten sudhaar us ki
qaba miyan hai us ki ki bhul se bhi kahin
kisi badan ko na lag jae tez dhaar us ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.