sada wo deta bhi hoga to kya KHabar mujhko
Interesting Fact
Sutoor- Delhi
sadā vo detā bhī hogā to kyā ḳhabar mujh ko
jo sunñe de ye mashīnoñ kā shor-o-shar mujh ko
'ajīb dasht huuñ maiñ bhī ki ek ik zarra
uḌaa.e phirtā hai muddat se dar-ba-dar mujh ko
har ik se pūchhtā phirtā hai merā nām-o-nishāñ
guzar gayā thā kabhī sahl jaan kar mujh ko
havā vo duur se detā hai apne dāman ko
qarīb aatā nahīñ jaan kar sharar mujh ko
maiñ apne qatl kā ilzām kisī ko duuñ 'rāhī'
milā hai apnā hī dāman lahū meñ tar mujh ko
sada wo deta bhi hoga to kya KHabar mujh ko
jo sunne de ye mashinon ka shor-o-shar mujh ko
'ajib dasht hun main bhi ki ek ek zarra
uDae phirta hai muddat se dar-ba-dar mujh ko
har ek se puchhta phirta hai mera nam-o-nishan
guzar gaya tha kabhi sahl jaan kar mujh ko
hawa wo dur se deta hai apne daman ko
qarib aata nahin jaan kar sharar mujh ko
main apne qatl ka ilzam kisi ko dun 'rahi'
mila hai apna hi daman lahu mein tar mujh ko
- Book : 1971 ki Muntakhab Shayri (Pg. 87)
- Author : Kumar Pashi, Prem Gopal Mittal
- Publication : P.K. Publishers, New Delhi (1972)
- Edition : 1972
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.