sadaen de ke musalsal bula raha hai mujhe
sadaen de ke musalsal bula raha hai mujhe
Shehzad Anjum Burhani
MORE BYShehzad Anjum Burhani
sadā.eñ de ke musalsal bulā rahā hai mujhe
ye kaisā dard hai andar se khā rahā hai mujhe
abhī bujhe nahīñ fānūs-e-chashm meñ kuchh ḳhvāb
havā-e-fardā kā ḳhadsha satā rahā hai mujhe
bujhe sharar haiñ havā-e-visāl kī zad par
tirī nazar kā ishāra batā rahā hai mujhe
maiñ zabt kartā rahā khul ke ro nahīñ paayā
ye ik hunar thā jo patthar banā rahā hai mujhe
navā-e-girya-o-zārī buland kartā huuñ
vo shādmānī ke qisse sunā rahā hai mujhe
mujhe bhī 'ilm hai anjām-e-kār kyā hogā
ye kaun ġhaib se zāhir meñ lā rahā hai mujhe
sadaen de ke musalsal bula raha hai mujhe
ye kaisa dard hai andar se kha raha hai mujhe
abhi bujhe nahin fanus-e-chashm mein kuchh KHwab
hawa-e-farda ka KHadsha sata raha hai mujhe
bujhe sharar hain hawa-e-visal ki zad par
teri nazar ka ishaara bata raha hai mujhe
main zabt karta raha khul ke ro nahin paya
ye ek hunar tha jo patthar bana raha hai mujhe
nawa-e-girya-o-zari buland karta hun
wo shadmani ke qisse suna raha hai mujhe
mujhe bhi 'ilm hai anjam-e-kar kya hoga
ye kaun ghaib se zahir mein la raha hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.