sadaen deta rahta hai ki ai maula dikhai de
sadā.eñ detā rahtā hai ki ai maulā dikhā.ī de
tū ya.anī chāhtā hai ki vo hai kaisā dikhā.ī de
nikal bāhar tū in dair-o-haram ke mas.aloñ se phir
mohabbat hī mohabbat kī tujhe duniyā dikhā.ī de
maiñ mandir meñ bhī jaatā huuñ maiñ masjid meñ bhī jā.ūñgā
ḳhudā har samt hī mujh ko bas ik jaisā dikhā.ī de
na jaane rabt ye kaisā hai us insān se merā
kabhī jo muuñd luuñ āñkheñ vahī chehra dikhā.ī de
ye jo hai ishq kā rasta ye aisā ek rasta hai
jahāñ koī nahīñ manzil faqat rasta dikhā.ī de
sadaen deta rahta hai ki ai maula dikhai de
tu yani chahta hai ki wo hai kaisa dikhai de
nikal bahar tu in dair-o-haram ke masalon se phir
mohabbat hi mohabbat ki tujhe duniya dikhai de
main mandir mein bhi jata hun main masjid mein bhi jaunga
KHuda har samt hi mujh ko bas ek jaisa dikhai de
na jaane rabt ye kaisa hai us insan se mera
kabhi jo mund lun aankhen wahi chehra dikhai de
ye jo hai ishq ka rasta ye aisa ek rasta hai
jahan koi nahin manzil faqat rasta dikhai de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.