sadaon ka na KHala dekh kar Dara mujhko
sadāoñ kā na ḳhalā dekh kar Darā mujh ko
hai koī aur bhī sunñe to de zarā mujh ko
qarīb apne jo aayā to laḌkhaḌā sā gayā
tū merī fikr na kar kuchh nahīñ huā mujh ko
maiñ barf bechne niklā bhī to himāle meñ
aur us ke baad zamāne se hai gila mujh ko
ye kaise dard haiñ jo rah ga.e haiñ baTne se
ye kaisī guuñj hai kuchh bhī nahīñ milā mujh ko
maiñ dekh kar tujhe ik samt ho sā jaatā huuñ
ye milte milte pare kaise kar diyā mujh ko
na tū bulā.e mujhe aur na maiñ bulā.ūñ tujhe
ye kyā huā hai tujhe aur kyā huā mujh ko
ḳhalā meñ rāste girte hoñ ābshār kī misl
vo dhuup ho nazar aa.e na rāsta mujh ko
ye mauj mauj sī āvāz kashtiyoñ kī sī chup
qadam banā huuñ añdheroñ kā ab baḌhā mujh ko
maiñ chup kī khaa.ī kā hotā ik aur patthar aaj
mirī sadā hī ne kas kar jakaḌ liyā mujh ko
maiñ ḳhud ko Dhaal ke terī sadā meñ chāhtā huuñ
ki tū bhī ab kabhī merī tarah bulā mujh ko
maiñ kyā vo ḳhauf huuñ jo sab ke dil meñ baiThā hai
nahīñ to but se bane dekhte ho kyā mujh ko
maiñ ek shaam tire saath rah ke luT sā gayā
ki zindagī meñ ye lahja nahīñ milā mujh ko
phir aaj ghar mujhe le aa.ī juuñ kā tuuñ ik baat
ki jaise koī khaḌā dekhtā rahā mujh ko
udhar kināre pe bhī 'talḳh' meñ hī thā kal shaam
bas apne ḳhauf ne milne nahīñ diyā mujh ko
sadaon ka na KHala dekh kar Dara mujh ko
hai koi aur bhi sunne to de zara mujh ko
qarib apne jo aaya to laDkhaDa sa gaya
tu meri fikr na kar kuchh nahin hua mujh ko
main barf bechne nikla bhi to himale mein
aur us ke baad zamane se hai gila mujh ko
ye kaise dard hain jo rah gae hain baTne se
ye kaisi gunj hai kuchh bhi nahin mila mujh ko
main dekh kar tujhe ek samt ho sa jata hun
ye milte milte pare kaise kar diya mujh ko
na tu bulae mujhe aur na main bulaun tujhe
ye kya hua hai tujhe aur kya hua mujh ko
KHala mein raste girte hon aabshaar ki misl
wo dhup ho nazar aae na rasta mujh ko
ye mauj mauj si aawaz kashtiyon ki si chup
qadam bana hun andheron ka ab baDha mujh ko
main chup ki khai ka hota ek aur patthar aaj
meri sada hi ne kas kar jakaD liya mujh ko
main KHud ko Dhaal ke teri sada mein chahta hun
ki tu bhi ab kabhi meri tarah bula mujh ko
main kya wo KHauf hun jo sab ke dil mein baiTha hai
nahin to but se bane dekhte ho kya mujh ko
main ek sham tere sath rah ke luT sa gaya
ki zindagi mein ye lahja nahin mila mujh ko
phir aaj ghar mujhe le aai jun ka tun ek baat
ki jaise koi khaDa dekhta raha mujh ko
udhar kinare pe bhi 'talKH' mein hi tha kal sham
bas apne KHauf ne milne nahin diya mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.