sadaqat sadgi oDhe bulandi tham leti hai
sadāqat sādgī oḌhe bulandī thaam letī hai
shahanshah kī rasā.ī ko faqīrī thaam letī hai
ulajh kar rañg-o-bū meñ ishq kī ma.asūm sī bachchī
miThā.ī kī dukānoñ meñ jalebī thaam letī hai
maiñ us ke rū-ba-rū har baat apnī bhuul jaatā huuñ
vo kuchh kahne jo aatī hai sahelī thaam letī hai
ye kis kā dil dukhā kar apne gaañv se maiñ niklā huuñ
galī har moḌ par merī kalā.ī thaam letī hai
bayāñ apnā badal kar aa gayā hai jab se fariyādī
gavāhī dene vāloñ ko kachehrī thaam letī hai
karam kā shukriya lekin na samho nā-samajh ham ko
navāzish kā har ik maqsad ġharībī thaam letī hai
koī ḳhushbū javāñ hotī hai mere gaañv meñ jab bhī
havā yuuñ ruḳh badaltī hai havelī thaam letī hai
mirī sairābiyoñ ko tishnagī par chhoḌ do yaaro
ye nāgin ḳhud-ba-ḳhud apnā madārī thaam letī hai
yahāñ ik sham.a raushan karnā bhī āsāñ nahīñ itnā
zarā sī chuuk hone par hathelī thaam letī hai
qasīda kyā likhūñ 'sāgar' tumhārī shān-o-shaukat kā
yahāñ to bādshāhat bhī kaTorī thaam letī hai
sadaqat sadgi oDhe bulandi tham leti hai
shahanshah ki rasai ko faqiri tham leti hai
ulajh kar rang-o-bu mein ishq ki masum si bachchi
miThai ki dukanon mein jalebi tham leti hai
main us ke ru-ba-ru har baat apni bhul jata hun
wo kuchh kahne jo aati hai saheli tham leti hai
ye kis ka dil dukha kar apne ganw se main nikla hun
gali har moD par meri kalai tham leti hai
bayan apna badal kar aa gaya hai jab se fariyaadi
gawahi dene walon ko kachehri tham leti hai
karam ka shukriya lekin na samho na-samajh hum ko
nawazish ka har ek maqsad gharibi tham leti hai
koi KHushbu jawan hoti hai mere ganw mein jab bhi
hawa yun ruKH badalti hai haweli tham leti hai
meri sairabiyon ko tishnagi par chhoD do yaro
ye nagin KHud-ba-KHud apna madari tham leti hai
yahan ek shama raushan karna bhi aasan nahin itna
zara si chuk hone par hatheli tham leti hai
qasida kya likhun 'sagar' tumhaari shan-o-shaukat ka
yahan to baadshahat bhi kaTori tham leti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.