saDak ki bhiD mein jo kho gaya hai
saḌak kī bhiiḌ meñ jo kho gayā hai
vo tanhā shaḳhs ab tanhā huā hai
kiran ke haath meñ neza hai jab se
mirā saaya bahut ghabrā rahā hai
fasīl-e-jism se aage kā rasta
dhueñ ke bādaloñ meñ kho gayā hai
mire siine ke is andhe kuñ.eñ meñ
na jaane kis liye vo jhāñktā hai
use ā.īna dikhlāoge kaise
vo ādam-zād ham sab kā ḳhudā hai
jabīn-e-shāḳh par kis be-kasī se
lahū ḳhurshīd kā phailā huā hai
sajā hai jab se shohrat kī dukāñ meñ
vo patthar tab se hiirā ban gayā hai
saDak ki bhiD mein jo kho gaya hai
wo tanha shaKHs ab tanha hua hai
kiran ke hath mein neza hai jab se
mera saya bahut ghabra raha hai
fasil-e-jism se aage ka rasta
dhuen ke baadalon mein kho gaya hai
mere sine ke is andhe kunen mein
na jaane kis liye wo jhankta hai
use aaina dikhlaoge kaise
wo aadam-zad hum sab ka KHuda hai
jabin-e-shaKH par kis be-kasi se
lahu KHurshid ka phaila hua hai
saja hai jab se shohrat ki dukan mein
wo patthar tab se hira ban gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.