sau KHulus baaton mein sab karam KHayalon mein
sau ḳhulūs bātoñ meñ sab karam ḳhayāloñ meñ
bas zarā vafā kam hai tere shahr vāloñ meñ
pahlī baar nazroñ ne chāñd bolte dekhā
ham javāb kyā dete kho ga.e savāloñ meñ
raat terī yādoñ ne dil ko is tarah chheḌā
jaise koī chuTkī le narm narm gāloñ meñ
yuuñ kisī kī āñkhoñ meñ sub.h tak abhī the ham
jis tarah rahe shabnam phuul ke piyāloñ meñ
merī aañkh ke taare ab na dekh pāoge
raat ke musāfir the kho ga.e ujāloñ meñ
jaise aadhī shab ke baa'd chāñd niiñd meñ chauñke
vo gulāb kī jumbish un siyāh bāloñ meñ
sau KHulus baaton mein sab karam KHayalon mein
bas zara wafa kam hai tere shahr walon mein
pahli bar nazron ne chand bolte dekha
hum jawab kya dete kho gae sawalon mein
raat teri yaadon ne dil ko is tarah chheDa
jaise koi chuTki le narm narm galon mein
yun kisi ki aankhon mein subh tak abhi the hum
jis tarah rahe shabnam phul ke piyalon mein
meri aankh ke tare ab na dekh paoge
raat ke musafir the kho gae ujalon mein
jaise aadhi shab ke ba'd chand nind mein chaunke
wo gulab ki jumbish un siyah baalon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.