sadiyon ke taaqub mein lamhe nahin jaenge
sadiyoñ ke ta.āqub meñ lamhe nahīñ jā.eñge
jā.eñge jahāñ tak ham raste nahīñ jā.eñge
go dasht-navardī ko ham sair samajhte haiñ
lauTeñge to chehre bhī dekhe nahīñ jā.eñge
sab ret kī dīvāreñ gir jā.eñgī lamhoñ meñ
lekin mire dariyā to roke nahīñ jā.eñge
sadiyon ke taaqub mein lamhe nahin jaenge
jaenge jahan tak hum raste nahin jaenge
go dasht-nawardi ko hum sair samajhte hain
lauTenge to chehre bhi dekhe nahin jaenge
sab ret ki diwaren gir jaengi lamhon mein
lekin mere dariya to roke nahin jaenge
- Book : Paniyon Se Alag (Pg. 50)
- Author : Shamsheer Haider
- Publication : Rumail House of Publication (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.