sadiyon se main is aankh ki putli mein chhupa tha
sadiyoñ se maiñ is aañkh kī putlī meñ chhupā thā
palkoñ pe agar mujh ko sajā lete to kyā thā
tū phail gayā tā-ba-ufuq mujh se bichhaḌ kar
maiñ jism ke zindāñ meñ tujhe DhūñDh rahā thā
haañ mujh ko tire surḳh kajāve kī qasam hai
is raah meñ pahle koī ghuñghrū na bajā thā
guzre the mire sāmne tum dosh-e-havā par
maiñ duur kahīñ ret ke Tiile pe khaḌā thā
siine meñ ubharte hue sūraj kā talātum
āñkhoñ meñ tirī Dūbtī rātoñ kā nasha thā
guzrā na idhar se koī patthar kā pujārī
muddat se maiñ is raah ke māthe pe sajā thā
jab vaqt kī dahlīz pe shab kaañp rahī thī
sho.ala sā mire jism ke āñgan se uThā thā
ab jāniye kyā naqsh havāoñ ne banā.e
us ret pe maiñ ne to tirā naam likhā thā
ai dīda-e-hairāñ to zarā aur qarīb aa
ai DhūñDne vaale maiñ tujhe DhūñDh rahā thā
sadiyon se main is aankh ki putli mein chhupa tha
palkon pe agar mujh ko saja lete to kya tha
tu phail gaya ta-ba-ufuq mujh se bichhaD kar
main jism ke zindan mein tujhe DhunDh raha tha
han mujh ko tere surKH kajawe ki qasam hai
is rah mein pahle koi ghunghru na baja tha
guzre the mere samne tum dosh-e-hawa par
main dur kahin ret ke Tile pe khaDa tha
sine mein ubharte hue suraj ka talatum
aankhon mein teri Dubti raaton ka nasha tha
guzra na idhar se koi patthar ka pujari
muddat se main is rah ke mathe pe saja tha
jab waqt ki dahliz pe shab kanp rahi thi
shoala sa mere jism ke aangan se uTha tha
ab jaaniye kya naqsh hawaon ne banae
us ret pe main ne to tera nam likha tha
ai dida-e-hairan to zara aur qarib aa
ai DhunDne wale main tujhe DhunDh raha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.