sadiyon se musafir hun tujhe DhunD raha hun
sadiyoñ se musāfir huuñ tujhe DhūñD rahā huuñ
maiñ aaj bhī hairat ke dorāhe pe khaḌā huuñ
be-chehra añdheroñ ko munavvar bhī kiyā hai
aur apne hī saa.e se kabhī ḳhud bhī Darā huuñ
ik umr jo zulmāt kā zahrāb piyā hai
tab jā ke kahīñ nuur ke sāñche meñ Dhalā huuñ
takmīl huī merī ḳhud apnī hī fanā se
phūTī jo kiran sub.h kī pahlī to bujhā huuñ
likh de merī qismat meñ kisī peḌ kā saaya
ik umr se tapte hue sahrā meñ khaḌā huuñ
sadiyon se musafir hun tujhe DhunD raha hun
main aaj bhi hairat ke dorahe pe khaDa hun
be-chehra andheron ko munawwar bhi kiya hai
aur apne hi sae se kabhi KHud bhi Dara hun
ek umr jo zulmat ka zahrab piya hai
tab ja ke kahin nur ke sanche mein Dhala hun
takmil hui meri KHud apni hi fana se
phuTi jo kiran subh ki pahli to bujha hun
likh de meri qismat mein kisi peD ka saya
ek umr se tapte hue sahra mein khaDa hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.