sadiyon se shab-o-roz yahi soch raha hun
sadiyoñ se shab-o-roz yahī soch rahā huuñ
maiñ kaun ḳhudā kaun hai maiñ bhuul gayā huuñ
aise meñ umañgeñ hī zarā saaz uThā.eñ
dahlīz pe phir se maiñ irādoñ kī khaḌā huuñ
har chand bhaTaknā paḌā bāzār meñ barsoñ
har shakl kī tasvīr magar khīñch chukā huuñ
aa.e na yaqīñ aa.e kisī aur ko mujh par
sahrā-e-ḳhamoshī meñ bahut der phirā huuñ
'ārij' kabhī utrā huuñ añdheroñ ke jigar meñ
sūraj ke samundar meñ kabhī ġharq huā huuñ
sadiyon se shab-o-roz yahi soch raha hun
main kaun KHuda kaun hai main bhul gaya hun
aise mein umangen hi zara saz uThaen
dahliz pe phir se main iradon ki khaDa hun
har chand bhaTakna paDa bazar mein barson
har shakl ki taswir magar khinch chuka hun
aae na yaqin aae kisi aur ko mujh par
sahra-e-KHamoshi mein bahut der phira hun
'arij' kabhi utra hun andheron ke jigar mein
suraj ke samundar mein kabhi gharq hua hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.