sadiyon se tha jo darpae-azar gir gaya
sadiyoñ se thā jo darpa.e-āzār gir gayā
apnā adū vo ġhāzī-e-guftār gir gayā
kapḌoñ kī qaid se huā āzād us kā jism
vo shaḳhs jis ghaḌī sar-e-bāzār gir gayā
jab surḳhiyoñ pe apnī nigāheñ Thahar ga.iiñ
hāthoñ se apne aaj kā aḳhbār gir gayā
be-ḳhvāb rah ke sab ko vo kartā thā faizyāb
jab so gayā to sāya-e-dīvār gir gayā
vo zalzala thā yā ki qayāmat kā silsila
sāñsoñ ke sabz-shahr kā mīnār gir gayā
māyūsiyoñ kī fauj ne hamle kiye bahut
lamhoñ ke ran meñ rahbar-e-kirdār gir gayā
sadiyon se tha jo darpae-azar gir gaya
apna adu wo ghazi-e-guftar gir gaya
kapDon ki qaid se hua aazad us ka jism
wo shaKHs jis ghaDi sar-e-bazar gir gaya
jab surKHiyon pe apni nigahen Thahar gain
hathon se apne aaj ka aKHbar gir gaya
be-KHwab rah ke sab ko wo karta tha faizyab
jab so gaya to saya-e-diwar gir gaya
wo zalzala tha ya ki qayamat ka silsila
sanson ke sabz-shahr ka minar gir gaya
mayusiyon ki fauj ne hamle kiye bahut
lamhon ke ran mein rahbar-e-kirdar gir gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.