saDkon par ek sail-e-bala tha logon ka
saḌkoñ par ik sail-e-balā thā logoñ kā
maiñ tanhā thā us meñ kyā thā logoñ kā
duniyā thī be-faiz rifāqat kī bastī
jīvan kyā thā ik sahrā thā logoñ kā
sūd-o-ziyāñ ke mashkīze par laḌte the
dil kā dariyā suukh gayā thā logoñ kā
maiñ pahuñchā to merā naam fazā meñ thā
hañste hañste rañg uḌā thā logoñ kā
nafrat kī tahrīreñ har sū likkhī thiiñ
dīvāroñ pe rañg chaḌhā thā logoñ kā
maiñ in ko vo mujh ko dekh ke Darte the
shahr-e-sitam thā ḳhauf bajā thā logoñ kā
kuchh logoñ ne nafrat boī logoñ meñ
phir saḌkoñ par ḳhuun bahā thā logoñ kā
hañsnā bhūle hañsī uḌānā siikh liyā
pahle kab ye rañg huā thā logoñ kā
ab jo kaheñ to kis ko bāvar aa.egā
mehr-o-muravvat taur rahā thā logoñ kā
duniyā meñ thā 'ahmad' duniyā se aajiz
ḳhud ko gañvā kar soch rahā thā logoñ kā
saDkon par ek sail-e-bala tha logon ka
main tanha tha us mein kya tha logon ka
duniya thi be-faiz rifaqat ki basti
jiwan kya tha ek sahra tha logon ka
sud-o-ziyan ke mashkize par laDte the
dil ka dariya sukh gaya tha logon ka
main pahuncha to mera nam faza mein tha
hanste hanste rang uDa tha logon ka
nafrat ki tahriren har su likkhi thin
diwaron pe rang chaDha tha logon ka
main in ko wo mujh ko dekh ke Darte the
shahr-e-sitam tha KHauf baja tha logon ka
kuchh logon ne nafrat boi logon mein
phir saDkon par KHun baha tha logon ka
hansna bhule hansi uDana sikh liya
pahle kab ye rang hua tha logon ka
ab jo kahen to kis ko bawar aaega
mehr-o-murawwat taur raha tha logon ka
duniya mein tha 'ahmad' duniya se aajiz
KHud ko ganwa kar soch raha tha logon ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.