saDkon pe ghumne ko nikalte hain sham se
saḌkoñ pe ghūmne ko nikalte haiñ shaam se
aaseb apne kaam se ham apne kaam se
nashshe meñ Dagmagā ke na chal sīTiyāñ bajā
shāyad koī charāġh utar aa.e baam se
dam kyā lagā liyā hai ki saare dukān-dār
chakhne meñ lag rahe haiñ mujhe tursh aam se
ġhusse meñ dauḌte haiñ Trak bhī lade hue
maiñ bhī bharā huā huuñ bahut intiqām se
dushman hai ek shaḳhs bahut ek shaḳhs kā
haañ ishq ek naam ko hai ek naam se
mere tamām aks mire karr-o-farr ke saath
maiñ ne bhī sab ko dafn kiyā dhūm-dhām se
mujh be-amal se rabt baḌhāne ko aa.e ho
ye baat hai agar to ga.e tum bhī kaam se
Dar to ye hai huī jo kabhī din kī raushnī
us raushnī meñ tum bhī lagoge avaam se
jis din se apnī baat rakhī shā.erī ke biich
maiñ kaT ke rah gayā sho.arā-e-karām se
saDkon pe ghumne ko nikalte hain sham se
aaseb apne kaam se hum apne kaam se
nashshe mein Dagmaga ke na chal siTiyan baja
shayad koi charagh utar aae baam se
dam kya laga liya hai ki sare dukan-dar
chakhne mein lag rahe hain mujhe tursh aam se
ghusse mein dauDte hain Trak bhi lade hue
main bhi bhara hua hun bahut intiqam se
dushman hai ek shaKHs bahut ek shaKHs ka
han ishq ek nam ko hai ek nam se
mere tamam aks mere karr-o-farr ke sath
main ne bhi sab ko dafn kiya dhum-dham se
mujh be-amal se rabt baDhane ko aae ho
ye baat hai agar to gae tum bhi kaam se
Dar to ye hai hui jo kabhi din ki raushni
us raushni mein tum bhi lagoge awam se
jis din se apni baat rakhi shaeri ke bich
main kaT ke rah gaya shoara-e-karam se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.