saf-e-dushmanan ko chirun dil-e-dostan pe utrun
saf-e-dushmanāñ ko chīrūñ dil-e-dostāñ pe utrūñ
tire haath kā huuñ ḳhanjar tū batā kahāñ pe utrūñ
maiñ ġhubār-e-rahguzar huuñ mirī saltanat hai har-sū
dil-e-kārvāñ pe utrūñ ruḳh-e-sārbāñ pe utrūñ
mire rāste muayyan mirī manzileñ muqarrar
rah-e-rahzanāñ ko lūTūñ dar-e-dil-barāñ pe utrūñ
maiñ savāb huuñ to ik din tire sang-e-dar pe utrūñ
maiñ azaab huuñ to apne dil-o-jism-o-jāñ pe utrūñ
maiñ hazīmatoñ kā raahī mirā har qadam hai paspā
na kahīñ zamīñ pe Thahrūñ na hī āsmāñ pe utrūñ
saf-e-dushmanan ko chirun dil-e-dostan pe utrun
tere hath ka hun KHanjar tu bata kahan pe utrun
main ghubar-e-rahguzar hun meri saltanat hai har-su
dil-e-karwan pe utrun ruKH-e-sarban pe utrun
mere raste muayyan meri manzilen muqarrar
rah-e-rahzanan ko luTun dar-e-dil-baran pe utrun
main sawab hun to ek din tere sang-e-dar pe utrun
main azab hun to apne dil-o-jism-o-jaan pe utrun
main hazimaton ka rahi mera har qadam hai paspa
na kahin zamin pe Thahrun na hi aasman pe utrun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.