safai uski jhalakti hai gore sine mein
safā.ī us kī jhalaktī hai gore siine meñ
chamak kahāñ hai ye almās ke nagīne meñ
na tuuī hai na kanārī na gokhrū tis par
sajī hai shoḳh ne añgiyā bunat ke miine meñ
jo pūchhā maiñ ''kahāñ thī'' tū hañs ke yuuñ bolī
''maiñ lag rahī thī us añgiyā muī ke siine meñ''
paḌā jo haath mirā siine par to haath jhaTak
pukārī! ''aag lage uuī is qarīne meñ''
jo aisā hī hai to ab ham na roz āveñge
kabhū jo aa.e to hafte meñ yā mahīne meñ
kabhū maTak kabhī bas bas kabhū piyāla paTak
dimāġh kartī thī kyā kyā sharāb piine meñ
chaḌhī jo dauḌ ke koThe pe vo parī ik baar
to maiñ ne jā liyā us ko udhar ke ziine meñ
vo pahnā kartī thī añgiyā jo surḳh laahī kī
lipaT ke tan se vo tar ho ga.ī pasīne meñ
ye surḳh añgiyā jo dekhī hai us parī kī 'nazīr'
mujhe to aag sī kuchh lag rahī hai siine meñ
safai us ki jhalakti hai gore sine mein
chamak kahan hai ye almas ke nagine mein
na tui hai na kanari na gokhru tis par
saji hai shoKH ne angiya bunat ke mine mein
jo puchha main kahan thi tu hans ke yun boli
main lag rahi thi us angiya mui ke sine mein
paDa jo hath mera sine par to hath jhaTak
pukari! aag lage ui is qarine mein
jo aisa hi hai to ab hum na roz aawenge
kabhu jo aae to hafte mein ya mahine mein
kabhu maTak kabhi bas bas kabhu piyala paTak
dimagh karti thi kya kya sharab pine mein
chaDhi jo dauD ke koThe pe wo pari ek bar
to main ne ja liya us ko udhar ke zine mein
wo pahna karti thi angiya jo surKH lahi ki
lipaT ke tan se wo tar ho gai pasine mein
ye surKH angiya jo dekhi hai us pari ki 'nazir'
mujhe to aag si kuchh lag rahi hai sine mein
- Book : Kulliyat-e-Nazeer (Pg. 115(228))
- Author : Abdul Bari Aasi
- Publication : Munshi Nawal Kishor, Lucknow
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.