safar aasan hota ja raha hai
safar āsān hotā jā rahā hai
bahut nuqsān hotā jā rahā hai
parinda qaid meñ hai aur ḳhush hai
qafas hairān hotā jā rahā hai
ghuTan hai be-qarārī aur ḳhamoshī
badan zindān hotā jā rahā hai
yaqīnan zaḳhm saare bhar ga.e haiñ
pe dil halkān hotā jā rahā hai
kahāñ ko jā rahe haiñ sab parinde
shajar vīrān hotā jā rahā hai
safar aasan hota ja raha hai
bahut nuqsan hota ja raha hai
parinda qaid mein hai aur KHush hai
qafas hairan hota ja raha hai
ghuTan hai be-qarari aur KHamoshi
badan zindan hota ja raha hai
yaqinan zaKHm sare bhar gae hain
pe dil halkan hota ja raha hai
kahan ko ja rahe hain sab parinde
shajar viran hota ja raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.