safar andar ka mushkil aur be-awaz hota hai
safar andar kā mushkil aur be-āvāz hotā hai
parinda be-dilī se āzim-e-parvāz hotā hai
maiñ naġhmoñ kī uThānoñ meñ talāshūñ jhalkiyāñ us kī
vo jab hotā hai āvāz-e-shikast-e-sāz hotā hai
maiñ aane vaale sab lamhoñ pe likkhūñ hijr ke manzar
vo har guzre zamāne meñ mirā dam-sāz hotā hai
havā jab sarsarātī hai ghane pīpal ke peḌoñ meñ
baḌe ūñche pahāḌoñ par koī dar baaz hotā hai
maiñ jab palkoñ se chuntī huuñ ga.e lamhoñ ke rezoñ ko
sunahre āsmānoñ meñ koī hamrāz hotā hai
safar andar ka mushkil aur be-awaz hota hai
parinda be-dili se aazim-e-parwaz hota hai
main naghmon ki uThanon mein talashun jhalkiyan us ki
wo jab hota hai aawaz-e-shikast-e-saz hota hai
main aane wale sab lamhon pe likkhun hijr ke manzar
wo har guzre zamane mein mera dam-saz hota hai
hawa jab sarsaraati hai ghane pipal ke peDon mein
baDe unche pahaDon par koi dar baz hota hai
main jab palkon se chunti hun gae lamhon ke rezon ko
sunahre aasmanon mein koi hamraaz hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.