safar ba-KHair ho anjam tak pahunch jaen
safar ba-ḳhair ho anjām tak pahuñch jaa.eñ
ḳhudā kare ye qadam shaam tak pahuñch jaa.eñ
suḳhan kā saarā safar is liye kiyā maiñ ne
ki mere hoñT tire naam tak pahuñch jaa.eñ
na.e junūñ kī aziyyat bhī mohtaram hai mujhe
guzishta zaḳhm to ārām tak pahuñch jaa.eñ
makān-e-husn se bāhar bhī dekh aisā na ho
sharīf log dar-o-bām tak pahuñch jaa.eñ
ḳhabar nahīñ mirī āvāz phir sune koī
jinheñ pahuñchnā hai kohrām tak pahuñch jaa.eñ
hasīn raat kā mahtāb Duub jaane se qabl
sitāre gardish-e-ayyām tak pahuñch jaa.eñ
ḳhudā ke bande ḳhudā tak pahuñch ga.e haiñ 'alī'
jo raam vaale haiñ vo raam tak pahuñch jaa.eñ
safar ba-KHair ho anjam tak pahunch jaen
KHuda kare ye qadam sham tak pahunch jaen
suKHan ka sara safar is liye kiya main ne
ki mere honT tere nam tak pahunch jaen
nae junun ki aziyyat bhi mohtaram hai mujhe
guzishta zaKHm to aaram tak pahunch jaen
makan-e-husn se bahar bhi dekh aisa na ho
sharif log dar-o-baam tak pahunch jaen
KHabar nahin meri aawaz phir sune koi
jinhen pahunchna hai kohram tak pahunch jaen
hasin raat ka mahtab Dub jaane se qabl
sitare gardish-e-ayyam tak pahunch jaen
KHuda ke bande KHuda tak pahunch gae hain 'ali'
jo ram wale hain wo ram tak pahunch jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.