safar ghazal ka kiya jae sath sath mere
safar ġhazal kā kiyā jaa.e saath saath mire
mulāhiza kareñ ash'ār pāñch saat mire
tamām 'umr mohabbat ke saath guzregī
ġhamoñ se aise bañdhe haiñ ta'alluqāt mire
jo kah rahī huuñ haqīqat hai maan lī jaa.e
haiñ aise puḳhta mirī jaañ tasavvurāt mire
maiñ 'ishq-zādī nahīñ huuñ maiñ 'mīr'-zādī huuñ
tirī samajh se pare haiñ taḳhaiyyulāt mire
mirā mizāj adab maiñ adab kī shahzādī
ġhazal meñ dekhiye sāhib takallufāt mire
safar ghazal ka kiya jae sath sath mere
mulahiza karen ash'ar panch sat mere
tamam 'umr mohabbat ke sath guzregi
ghamon se aise bandhe hain ta'alluqat mere
jo kah rahi hun haqiqat hai man li jae
hain aise puKHta meri jaan tasawwuraat mere
main 'ishq-zadi nahin hun main 'mir'-zadi hun
teri samajh se pare hain taKHaiyyulat mere
mera mizaj adab main adab ki shahzadi
ghazal mein dekhiye sahib takallufat mere
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.