safar guman hai rasta KHayal hai
safar gumāñ hai rāsta ḳhayāl hai
chaloge mere saath kyā ḳhayāl hai
agar jahān-e-ḳhushnumā fareb hai
to sab fareb hai ḳhudā ḳhayāl hai
nazar ko aks-e-jān kī lalak hai aur
ġhazab ye hai ki aa.ina ḳhayāl hai
kisī nazar kī raushnī se munsalik
ye taaq meñ dharā diyā ḳhayāl hai
kabhī yahāñ vahāñ bhaTak ke rah gayā
kabhī ḳhayāl se milā ḳhayāl hai
mujhe bhī ab nahīñ hai us kī aarzū
use bhī ab kahāñ mirā ḳhayāl hai
dhuāñ havā meñ uḌ gayā 'shumā.ila'
suḳhan tirā bujhā huā ḳhayāl hai
safar guman hai rasta KHayal hai
chaloge mere sath kya KHayal hai
agar jahan-e-KHushnuma fareb hai
to sab fareb hai KHuda KHayal hai
nazar ko aks-e-jaan ki lalak hai aur
ghazab ye hai ki aaina KHayal hai
kisi nazar ki raushni se munsalik
ye taq mein dhara diya KHayal hai
kabhi yahan wahan bhaTak ke rah gaya
kabhi KHayal se mila KHayal hai
mujhe bhi ab nahin hai us ki aarzu
use bhi ab kahan mera KHayal hai
dhuan hawa mein uD gaya 'shumaila'
suKHan tera bujha hua KHayal hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.