safar haalanki tere sath achchha chal raha hai
safar hālāñki tere saath achchhā chal rahā hai
barābar se magar ik aur rasta chal rahā hai
zabānī khel ban kar rah gayā hai 'ishq apnā
jahāñ vā'de ke badle sirf vā'da chal rahā hai
kahāñ tak bazm meñ baiThā rahūñ nazreñ jhukā.e
jidhar dekho udhar koī ishāra chal rahā hai
hameñ ye biich jhagḌe meñ achānak yaad aayā
ki is ke saath to jhagḌā hamārā chal rahā hai
kabhī bistar se uTThe bhī to ye chīḳheñ sunī haiñ
khilaunā chal gayā dekho khilaunā chal rahā hai
har ik mahfil meñ hotā thā nayā andāz apnā
magar ab muddatoñ se ek chehra chal rahā hai
safar haalanki tere sath achchha chal raha hai
barabar se magar ek aur rasta chal raha hai
zabani khel ban kar rah gaya hai 'ishq apna
jahan wa'de ke badle sirf wa'da chal raha hai
kahan tak bazm mein baiTha rahun nazren jhukae
jidhar dekho udhar koi ishaara chal raha hai
hamein ye bich jhagDe mein achanak yaad aaya
ki is ke sath to jhagDa hamara chal raha hai
kabhi bistar se uTThe bhi to ye chiKHen suni hain
khilauna chal gaya dekho khilauna chal raha hai
har ek mahfil mein hota tha naya andaz apna
magar ab muddaton se ek chehra chal raha hai
- Book : Dukh Naye Kapde Badal Kar (Pg. 95)
- Author : Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.