safar hai dhup ka is mein qayam thoDi hai
safar hai dhuup kā is meñ qayām thoḌī hai
balā hai ishq ye bachchoñ kā kaam thoḌī hai
kisī ko vasl hai bojhal koī firāq meñ ḳhush
diloñ ke khel meñ koī nizām thoḌī hai
hamāre dil meñ dhaḌaktā hai naam us kā abhī
hai ye shurū-e-mohabbat tamām thoḌī hai
jo ahl-e-ishq haiñ manzil kā ġham nahīñ karte
ye ḳhaas logoñ kā rasta hai aam thoḌī hai
ham apne man kī kareñge burā lage ki bhalā
hamārā dil hai tumhārā ġhulām thoḌī hai
tumhārī yaad jo aa.ī to aa ga.e milne
vagarna tum se hameñ koī kaam thoḌī hai
baḌhā jo dard to kāġhaz pe ḳhud utar aayā
samajh ke soch ke likkhā kalām thoḌī hai
safar hai dhup ka is mein qayam thoDi hai
bala hai ishq ye bachchon ka kaam thoDi hai
kisi ko wasl hai bojhal koi firaq mein KHush
dilon ke khel mein koi nizam thoDi hai
hamare dil mein dhaDakta hai nam us ka abhi
hai ye shuru-e-mohabbat tamam thoDi hai
jo ahl-e-ishq hain manzil ka gham nahin karte
ye KHas logon ka rasta hai aam thoDi hai
hum apne man ki karenge bura lage ki bhala
hamara dil hai tumhaara ghulam thoDi hai
tumhaari yaad jo aai to aa gae milne
wagarna tum se hamein koi kaam thoDi hai
baDha jo dard to kaghaz pe KHud utar aaya
samajh ke soch ke likkha kalam thoDi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.