safar hai dushwar KHwab kab tak bahut paDi manzil-e-adam hai
safar hai dushwar KHwab kab tak bahut paDi manzil-e-adam hai
Naseem Dehlvi
MORE BYNaseem Dehlvi
safar hai dushvār ḳhvāb kab tak bahut paḌī manzil-e-adam hai
'nasīm' jaago kamar ko bāñdho uThāo bistar ki raat kam hai
'nasīm' ġhaflat kī chal rahī hai umañD rahī haiñ qazā kī nīñdeñ
kuchh aisā so.e haiñ sone vaale ki jāgnā hashr tak qasam hai
javānī-o-husn-o-jāh-o-daulat ye chand anfās ke haiñ jhagḌe
ajal hai istāda dast-basta naved-e-ruḳhsat har ek dam hai
basān-e-dast-e-savāl saa.il tahī hoñ har ek mudda'ā se
niyāz hai be-niyāziyoñ se baġhal meñ dil sūrat-e-sanam hai
ma.āl-e-kār-e-jahān-e-fānī kabhī nahīñ ek qā.ede par
jo chaar din hai vufūr-e-rāhat to baa'd is ke ġham-o-alam hai
dareġh karnā na zor-e-bāzū miTā le saarī kudūratoñ ko
havas na rah jaa.e koī qātil ki sar tah-e-ḳhanjar-e-do-dam hai
zabān roko bahak rahe ho surūr-e-do-shīna josh par hai
mai-e-visāl-e-shab-e-tamannā har ek lab se abhī baham hai
ye misra-e-muḳhbir-e-musībat kamāl ham ko pasand aayā
'nasīm' jaago kamar ko bāñdho uThāo bistar ki raat kam hai
safar hai dushwar KHwab kab tak bahut paDi manzil-e-adam hai
'nasim' jago kamar ko bandho uThao bistar ki raat kam hai
'nasim' ghaflat ki chal rahi hai umanD rahi hain qaza ki ninden
kuchh aisa soe hain sone wale ki jagna hashr tak qasam hai
jawani-o-husn-o-jah-o-daulat ye chand anfas ke hain jhagDe
ajal hai istada dast-basta nawed-e-ruKHsat har ek dam hai
basan-e-dast-e-sawal sail tahi hon har ek mudda'a se
niyaz hai be-niyaziyon se baghal mein dil surat-e-sanam hai
maal-e-kar-e-jahan-e-fani kabhi nahin ek qaede par
jo chaar din hai wufur-e-rahat to ba'd is ke gham-o-alam hai
daregh karna na zor-e-bazu miTa le sari kuduraton ko
hawas na rah jae koi qatil ki sar tah-e-KHanjar-e-do-dam hai
zaban roko bahak rahe ho surur-e-do-shina josh par hai
mai-e-visal-e-shab-e-tamanna har ek lab se abhi baham hai
ye misra-e-muKHbir-e-musibat kamal hum ko pasand aaya
'nasim' jago kamar ko bandho uThao bistar ki raat kam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.