safar hai rasta hai aur main hun
safar hai rāsta hai aur maiñ huuñ
purānā mas.ala hai aur maiñ huuñ
shikār ab kaun hogā dekhte haiñ
shajar par fāḳhta hai aur meñ huuñ
mujhe tasvīr se bāhar nikālo
musalsal ratjagā hai aur maiñ huuñ
musāfir bhī huuñ mīr-e-kārvāñ bhī
adhūrā qāfila hai aur maiñ huuñ
tirī tasvīr bantī jā rahī hai
muqābil aa.ina hai aur maiñ huuñ
safar hai rasta hai aur main hun
purana masala hai aur main hun
shikar ab kaun hoga dekhte hain
shajar par faKHta hai aur mein hun
mujhe taswir se bahar nikalo
musalsal ratjaga hai aur main hun
musafir bhi hun mir-e-karwan bhi
adhura qafila hai aur main hun
teri taswir banti ja rahi hai
muqabil aaina hai aur main hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.