safar hai shart rah-e-kahkashan hai tere liye
safar hai shart rah-e-kahkashāñ hai tere liye
na.ī zamīn nayā āsmāñ hai tere liye
bulā rahī hai tujhe manzil-e-buland tirī
ye nāla-e-jaras-e-kārvāñ hai tere liye
tire junūñ ne khilā.e lahū se lāla-o-gul
bahār-e-nāzish-e-sad-gulsitāñ hai tere liye
ḳhushā vo azmat-e-faqr-o-ḳhud-āgahī terī
ki ḳham jabīn-e-ġhurūr-e-shahāñ hai tere liye
basīrat-e-nigah-e-jazba-e-kalīmāna
atā huī hai tujhe ye jahāñ hai tere liye
safar hai shart rah-e-kahkashan hai tere liye
nai zamin naya aasman hai tere liye
bula rahi hai tujhe manzil-e-buland teri
ye nala-e-jaras-e-karwan hai tere liye
tere junun ne khilae lahu se lala-o-gul
bahaar-e-nazish-e-sad-gulsitan hai tere liye
KHusha wo azmat-e-faqr-o-KHud-agahi teri
ki KHam jabin-e-ghurur-e-shahan hai tere liye
basirat-e-nigah-e-jazba-e-kalimana
ata hui hai tujhe ye jahan hai tere liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.