safar hamara ki baham bahut niDhaal raha
safar hamārā ki bāham bahut niDhāl rahā
bichhaḌte vaqt magar dil meñ kyoñ savāl rahā
tire malāl meñ zam the nigāh saañs badan
mirā malāl thā ḳhālis ki bas malāl rahā
bichhaḌne vaalā kam-az-kam palaT ke dekhā to
bichhaḌne vaale kā kuchh to use ḳhayāl rahā
shab-e-firāq ho yā ho visāl kī sā'at
tirā ḳhayāl har ik rang meñ kamāl rahā
mire badan meñ bas ik rūh-bhar jagah hai dost
use hai aanā so mujh ko vo ab nikāl rahā
safar hamara ki baham bahut niDhaal raha
bichhaDte waqt magar dil mein kyon sawal raha
tere malal mein zam the nigah sans badan
mera malal tha KHalis ki bas malal raha
bichhaDne wala kam-az-kam palaT ke dekha to
bichhaDne wale ka kuchh to use KHayal raha
shab-e-firaq ho ya ho visal ki sa'at
tera KHayal har ek rang mein kamal raha
mere badan mein bas ek ruh-bhar jagah hai dost
use hai aana so mujh ko wo ab nikal raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.