safar hi kafi hai umren guzarne ke liye
safar hī kaafī hai 'umreñ guzārne ke liye
vo kyoñ ba-zid hai mujhe paar utārne ke liye
vo jurm itnā jo sangīn us ko lagtā hai
kiyā thā maiñ ne koī pal guzārne ke liye
vo saarī sulh-pasandī vo ḳhāksārī sab
bahut zarūrī thā 'izzat se hārne ke liye
jhagaḌ rahe the vahāñ sab na.ī rutoñ ke amiiñ
mirā purānā koī ruup dhārne ke liye
tamām 'umr rahā huuñ shikasta kashtī par
maiñ nā-ḳhudāoñ ke ehsāñ utārne ke liye
usī pe vus'ateñ khultī haiñ dasht-o-sahrā kī
jise koī bhī na aa.e pukārne ke liye
ik aur baazī mujhe us ke saath khelnā hai
usī kī tarh salīqe se hārne ke liye
safar hi kafi hai 'umren guzarne ke liye
wo kyon ba-zid hai mujhe par utarne ke liye
wo jurm itna jo sangin us ko lagta hai
kiya tha main ne koi pal guzarne ke liye
wo sari sulh-pasandi wo KHaksari sab
bahut zaruri tha 'izzat se haarne ke liye
jhagaD rahe the wahan sab nai ruton ke amin
mera purana koi rup dhaarne ke liye
tamam 'umr raha hun shikasta kashti par
main na-KHudaon ke ehsan utarne ke liye
usi pe wus'aten khulti hain dasht-o-sahra ki
jise koi bhi na aae pukarne ke liye
ek aur bazi mujhe us ke sath khelna hai
usi ki tarh saliqe se haarne ke liye
- Book : Khidki To Main Ne Khol Hi Li (Pg. 112)
- Author :Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.