safar jab dhup ka ho to shajar hi kaam aata hai
safar jab dhuup kā ho to shajar hī kaam aatā hai
magar barsāt aatī hai to ghar hī kaam aatā hai
nahīñ laatā hai dīvānoñ ko ḳhātir meñ koī lekin
zarūrat par to dīvānoñ kā sar hī kaam aatā hai
ḳhas-o-ḳhāshāk ke hote hue bhī kuchh nahīñ hotā
harārat kī talab ho to sharar hī kaam aatā hai
kahāñ har dam fazā kī vus.ateñ bhī kaam aatī haiñ
thake haare parindoñ ko shajar hī kaam aatā hai
hamesha dūsroñ kā mashvara kaafī nahīñ hotā
yahāñ insān kā husn-e-nazar hī kaam aatā hai
safar jab dhup ka ho to shajar hi kaam aata hai
magar barsat aati hai to ghar hi kaam aata hai
nahin lata hai diwanon ko KHatir mein koi lekin
zarurat par to diwanon ka sar hi kaam aata hai
KHas-o-KHashak ke hote hue bhi kuchh nahin hota
hararat ki talab ho to sharar hi kaam aata hai
kahan har dam faza ki wusaten bhi kaam aati hain
thake haare parindon ko shajar hi kaam aata hai
hamesha dusron ka mashwara kafi nahin hota
yahan insan ka husn-e-nazar hi kaam aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.