safar ke waste mamta ke moti bandh deti hai
safar ke vāste mamtā ke motī bāñdh detī hai
mirī chādar meñ maañ chupke se roTī bāñdh detī hai
karo tā-'umr chāhe koshisheñ khul hī nahīñ paatī
mohabbat is tarah pairoñ meñ rassī bāñdh detī hai
rachī jaatī haiñ yuuñ to sāzisheñ par bhiiḌ chūhoñ kī
gale meñ kyā kisī billī ke ghanTī bāñdh detī hai
tū itrātā hai apnī zaat pe kis vāste nādāñ
qazā jis vaqt aatī hai to gaThrī bāñdh detī hai
barahna sar vo rah jaate haiñ jo haqdār hote haiñ
magar nā-ahl ke sar qaum pagḌī bāñdh detī hai
kahāñ phir farq aatā hai nazar haq aur bātil meñ
ġhalat-fahmī agar āñkhoñ pe paTTī bāñdh detī hai
safar ke waste mamta ke moti bandh deti hai
meri chadar mein man chupke se roTi bandh deti hai
karo ta-'umr chahe koshishen khul hi nahin pati
mohabbat is tarah pairon mein rassi bandh deti hai
rachi jati hain yun to sazishen par bhiD chuhon ki
gale mein kya kisi billi ke ghanTi bandh deti hai
tu itraata hai apni zat pe kis waste nadan
qaza jis waqt aati hai to gaThri bandh deti hai
barahna sar wo rah jate hain jo haqdar hote hain
magar na-ahl ke sar qaum pagDi bandh deti hai
kahan phir farq aata hai nazar haq aur baatil mein
ghalat-fahmi agar aankhon pe paTTi bandh deti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.