safar ki dhup ne chehra ujal rakkha tha
safar kī dhuup ne chehra ujaal rakkhā thā
vo mar gayā to sirhāne visāl rakkhā thā
hasīn chehre kashīda kiye the miTTī se
balā kā ḳhaak meñ husn o jamāl rakkhā thā
vo hāshiyoñ meñ tire surmagīñ mohabbat thī
ki ā.inoñ meñ koī aks Daal rakkhā thā
falak kī saañs ukhaḌne lagī to raaz khulā
ki āsmāñ ko zamīñ ne sambhāl rakkhā thā
tirā uruuj thā sūraj ke maand paḌne tak
mire nasīb meñ shab sā zavāl rakkhā thā
hisār-e-ḳhvāb se bāhar kabhī nikal na sakūñ
bichhā ke raah meñ palkoñ kā jaal rakkhā thā
vo ek shaḳhs jo vaqt-e-zavāl mujh se milā
sunahrī āñkhoñ meñ us kī malāl rakkhā thā
kisī ko sahrā-navardī se ishq lāhaq thā
kisī ko shauq ne ghar se nikāl rakkhā thā
usī ne zahr uñDelā hai merī nas nas meñ
jo āstīn meñ ik saañp paal rakkhā thā
safar ki dhup ne chehra ujal rakkha tha
wo mar gaya to sirhane visal rakkha tha
hasin chehre kashida kiye the miTTi se
bala ka KHak mein husn o jamal rakkha tha
wo hashiyon mein tere surmagin mohabbat thi
ki aainon mein koi aks Dal rakkha tha
falak ki sans ukhaDne lagi to raaz khula
ki aasman ko zamin ne sambhaal rakkha tha
tera uruj tha suraj ke mand paDne tak
mere nasib mein shab sa zawal rakkha tha
hisar-e-KHwab se bahar kabhi nikal na sakun
bichha ke rah mein palkon ka jal rakkha tha
wo ek shaKHs jo waqt-e-zawal mujh se mila
sunahri aankhon mein us ki malal rakkha tha
kisi ko sahra-nawardi se ishq lahaq tha
kisi ko shauq ne ghar se nikal rakkha tha
usi ne zahr unDela hai meri nas nas mein
jo aastin mein ek sanp pal rakkha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.