safar ki zulmaton mein ye sitara chahiye mujhko
safar kī zulmatoñ meñ ye sitāra chāhiye mujh ko
abhī terī mohabbat kā sahārā chāhiye mujh ko
koī taaza bahut taaza nazar kā zāviya mil jaa.e
koī raushan bahut raushan nazāra chāhiye mujh ko
mire alfāz kī jholī kahīñ ḳhālī na rah jaa.e
ye jo sarmāya-e-ġham hai ye saarā chāhiye mujh ko
koī barsāt kā bādal yahāñ bār-e-digar aa.e
dhanak jaisā koī lamha dubāra chāhiye mujh ko
ḳhudā-e-bahr mujh ko pāniyoñ meñ saañs dī tuuñ ne
magar ab is samundar se kināra chāhiye mujh ko
abhī to ik sitāre par qadam maiñ ne jamā.e haiñ
abhī to āsmāñ saare kā saarā chāhiye mujh ko
tirī ḳhvāhish ke āñgan meñ ho mere pyaar kī chhāyā
mukammal is havelī par ijārā chāhiye mujh ko
abhī 'zahrāb' us ko dekhtā huuñ chashm-e-hairat se
abhī dariyā-e-hairat kā kināra chāhiye mujh ko
safar ki zulmaton mein ye sitara chahiye mujh ko
abhi teri mohabbat ka sahaara chahiye mujh ko
koi taza bahut taza nazar ka zawiya mil jae
koi raushan bahut raushan nazara chahiye mujh ko
mere alfaz ki jholi kahin KHali na rah jae
ye jo sarmaya-e-gham hai ye sara chahiye mujh ko
koi barsat ka baadal yahan bar-e-digar aae
dhanak jaisa koi lamha dubara chahiye mujh ko
KHuda-e-bahr mujh ko paniyon mein sans di tun ne
magar ab is samundar se kinara chahiye mujh ko
abhi to ek sitare par qadam main ne jamae hain
abhi to aasman sare ka sara chahiye mujh ko
teri KHwahish ke aangan mein ho mere pyar ki chhaya
mukammal is haweli par ijara chahiye mujh ko
abhi 'zahrab' us ko dekhta hun chashm-e-hairat se
abhi dariya-e-hairat ka kinara chahiye mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.