Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

safar ko jab bhi kisi dastan mein rakhna

Nida Fazli

safar ko jab bhi kisi dastan mein rakhna

Nida Fazli

MORE BYNida Fazli

    safar ko jab bhī kisī dāstān meñ rakhnā

    qadam yaqīn meñ manzil gumān meñ rakhnā

    jo saath hai vahī ghar nasīb hai lekin

    jo kho gayā hai use bhī makān meñ rakhnā

    jo dekhtī haiñ nigāheñ vahī nahīñ sab kuchh

    ye ehtiyāt bhī apne bayān meñ rakhā

    vo ek ḳhvāb jo chehra kabhī nahīñ bantā

    banā ke chāñd use āsmān meñ rakhnā

    chamakte chāñd-sitāroñ kyā bharosa hai

    zamīñ dhuul bhī apnī uḌaan meñ rakhnā

    safar ko jab bhi kisi dastan mein rakhna

    qadam yaqin mein manzil guman mein rakhna

    jo sath hai wahi ghar ka nasib hai lekin

    jo kho gaya hai use bhi makan mein rakhna

    jo dekhti hain nigahen wahi nahin sab kuchh

    ye ehtiyat bhi apne bayan mein rakha

    wo ek KHwab jo chehra kabhi nahin banta

    bana ke chand use aasman mein rakhna

    chamakte chand-sitaron ka kya bharosa hai

    zamin ki dhul bhi apni uDan mein rakhna

    Source :
    • Book : Sheher Men Gaon (Pg. 387)
    • Author : Shahid Mahili
    • Publication : Miaar Publications (2012)
    • Edition : 2012
    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now