safar mein ab nahin par aabla-pai nahin jati
safar meñ ab nahīñ par ābla-pā.ī nahīñ jaatī
hamārī rāstoñ se yuuñ shanāsā.ī nahīñ jaatī
raheñ ham mahfiloñ meñ yā raheñ duniyā ke mele meñ
akelā chhoḌ kar lekin ye tanhā.ī nahīñ jaatī
nigāhoñ ke ishāre bhī mohabbat bhī alāmat haiñ
sabhī bāteñ zabānī hī to batlā.ī nahīñ jaatī
baḌī nāzuk sī hai Dorī ye rishtoñ kī batā.ūñ kyā
ulajh ik baar gir jaa.e to suljhā.ī nahīñ jaatī
lagā.e koī bhī kitne yahāñ chehroñ pe chehre hī
haqīqat aa.ine se phir bhī jhuTlā.ī nahīñ jaatī
na jaane ḳhvāb haiñ kitne tamannā.eñ khilaunoñ sī
magar ye zindagī un se to bahlā.ī nahīñ jaatī
kahānī zindagī kī yuuñ to dilkash hai magar 'vāhid'
koī ik baar jo paḌh le to dohrā.ī nahīñ jaatī
safar mein ab nahin par aabla-pai nahin jati
hamari raston se yun shanasai nahin jati
rahen hum mahfilon mein ya rahen duniya ke mele mein
akela chhoD kar lekin ye tanhai nahin jati
nigahon ke ishaare bhi mohabbat bhi alamat hain
sabhi baaten zabani hi to batlai nahin jati
baDi nazuk si hai Dori ye rishton ki bataun kya
ulajh ek bar gir jae to suljhai nahin jati
lagae koi bhi kitne yahan chehron pe chehre hi
haqiqat aaine se phir bhi jhuTlai nahin jati
na jaane KHwab hain kitne tamannaen khilaunon si
magar ye zindagi un se to bahlai nahin jati
kahani zindagi ki yun to dilkash hai magar 'wahid'
koi ek bar jo paDh le to dohrai nahin jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.