safar mein apne wo raKHt-e-safar ko bhul gae
safar mein apne wo raKHt-e-safar ko bhul gae
Harsh Kumar Bhatnagar
MORE BYHarsh Kumar Bhatnagar
safar meñ apne vo raḳht-e-safar ko bhuul ga.e
sunahrī dhuup meñ so.e shajar ko bhuul ga.e
jo sīpiyoñ meñ samundar kā shor sunte the
vo ahl-e-'aql bhī ḳhud ab bhañvar ko bhuul ga.e
lagī hai lat ye parindoñ ko jab se piñjroñ kī
safar to kyā hī kareñge shajar ko bhuul ga.e
milā nahīñ hai dar-o-bām jin ko qismat meñ
saḌak pe sote haiñ marne ke Dar ko bhuul ga.e
jo intizār meñ din bhī guzār lete the vo
musāfiroñ se mile muntazar ko bhuul ga.e
safar mein apne wo raKHt-e-safar ko bhul gae
sunahri dhup mein soe shajar ko bhul gae
jo sipiyon mein samundar ka shor sunte the
wo ahl-e-'aql bhi KHud ab bhanwar ko bhul gae
lagi hai lat ye parindon ko jab se pinjron ki
safar to kya hi karenge shajar ko bhul gae
mila nahin hai dar-o-baam jin ko qismat mein
saDak pe sote hain marne ke Dar ko bhul gae
jo intizar mein din bhi guzar lete the wo
musafiron se mile muntazar ko bhul gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.