safar mein hum akele to nahin the
safar meñ ham akele to nahīñ the
mohabbat thī jhamele to nahīñ the
hamāre dil meñ un kī chaah thī bas
ham un ke dil se khele to nahīñ the
namī us roz thī chand āñsuoñ kī
in āñkhoñ meñ ye rele to nahīñ the
taqāzā kar rahe haiñ sab hī lekin
vo faaqe sab ne jhele to nahīñ the
thā manzar muḳhtalif kuchh sabz kal tak
hathelī par ye Dhele to nahīñ the
safar mein hum akele to nahin the
mohabbat thi jhamele to nahin the
hamare dil mein un ki chah thi bas
hum un ke dil se khele to nahin the
nami us roz thi chand aansuon ki
in aankhon mein ye rele to nahin the
taqaza kar rahe hain sab hi lekin
wo faqe sab ne jhele to nahin the
tha manzar muKHtalif kuchh sabz kal tak
hatheli par ye Dhele to nahin the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.