safar mein ek naya imkan zahir ho raha hai
safar meñ ik nayā imkān zāhir ho rahā hai
nazar meñ ik nayā imkān zāhir ho rahā hai
havā kā raushnī kā ḳhushbuoñ kā titliyoñ kā
nagar meñ ik nayā imkān zāhir ho rahā hai
parinde shaam se hamd-e-ḳhudā gaane lage haiñ
shajar meñ ik nayā imkān zāhir ho rahā hai
koī dekhe zarā peshāniyāñ ahl-e-hunar kī
hunar meñ ik nayā imkān zāhir ho rahā hai
gul-e-ummīd kī ḳhushbū kahāñ se aa.ī 'shaukat'
sahar meñ ik nayā imkān zāhir ho rahā hai
safar mein ek naya imkan zahir ho raha hai
nazar mein ek naya imkan zahir ho raha hai
hawa ka raushni ka KHushbuon ka titliyon ka
nagar mein ek naya imkan zahir ho raha hai
parinde sham se hamd-e-KHuda gane lage hain
shajar mein ek naya imkan zahir ho raha hai
koi dekhe zara peshaniyan ahl-e-hunar ki
hunar mein ek naya imkan zahir ho raha hai
gul-e-ummid ki KHushbu kahan se aai 'shaukat'
sahar mein ek naya imkan zahir ho raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.