safar mein KHak hue karwan banate hue
safar meñ ḳhaak hue kārvāñ banāte hue
zamīn jalne lagī āsmāñ banāte hue
koī bhī harf-e-duā rā.egāñ nahīñ jaatā
maiñ is yaqīn pe pahuñchī gumāñ banāte hue
tahaffuz-e-dar-o-dīvār kār-e-mushkil hai
jhulas gayā hai badan sā.ebāñ banāte hue
ajiib log the nafrat meñ pā.emāl hue
mohabbatoñ kī zamīñ be-nishāñ banāte hue
lahū-luhān jo raste hue mohabbat ke
ham āsmāñ pe chale kahkashāñ banāte hue
ye kaun rauzan-e-zindāñ se jhāñktā hai 'ġhazal'
ye kaun qaid huā beḌiyāñ banāte hue
safar mein KHak hue karwan banate hue
zamin jalne lagi aasman banate hue
koi bhi harf-e-dua raegan nahin jata
main is yaqin pe pahunchi guman banate hue
tahaffuz-e-dar-o-diwar kar-e-mushkil hai
jhulas gaya hai badan saeban banate hue
ajib log the nafrat mein paemal hue
mohabbaton ki zamin be-nishan banate hue
lahu-luhan jo raste hue mohabbat ke
hum aasman pe chale kahkashan banate hue
ye kaun rauzan-e-zindan se jhankta hai 'ghazal'
ye kaun qaid hua beDiyan banate hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.