safar mein kyon na safinon ke baadban khule
safar meñ kyoñ na safīnoñ ke bādbān khule
mujhe batānā agar tum pe dāstān khule
talāsh-e-māh-o-kavākib se kyā milegā tujhe
tū ḳhaak oḌh ki tujh par ye ḳhāk-dān khule
ye kis maqām pe TuuTā hai an-kahī kā fusūñ
hamāre zaḳhm havāoñ ke darmiyān khule
kisī ke naam pe taḌpī haiñ Dūbtī nabzeñ
ġham-e-nihāñ ke dam-e-āḳhrīñ nishān khule
sipāh-e-shahr-e-ḳhamoshāñ ko hukm-e-hākim hai
vahīñ pe qabr banā do jahāñ zabān khule
safar mein kyon na safinon ke baadban khule
mujhe batana agar tum pe dastan khule
talash-e-mah-o-kawakib se kya milega tujhe
tu KHak oDh ki tujh par ye KHak-dan khule
ye kis maqam pe TuTa hai an-kahi ka fusun
hamare zaKHm hawaon ke darmiyan khule
kisi ke nam pe taDpi hain Dubti nabzen
gham-e-nihan ke dam-e-aKHrin nishan khule
sipah-e-shahr-e-KHamoshan ko hukm-e-hakim hai
wahin pe qabr bana do jahan zaban khule
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.