safar mein mushkilen aaen to jurat aur baDhti hai
safar meñ mushkileñ aa.eñ to jur.at aur baḌhtī hai
koī jab rāsta roke to himmat aur baḌhtī hai
bujhāne ko havā ke saath gar bārish bhī aa jaa.e
charāġh-e-be-haqīqat kī haqīqat aur baḌhtī hai
mirī kamzoriyoñ par jab koī tanqīd kartā hai
vo dushman kyuuñ na ho us se mohabbat aur baḌhtī hai
zarūrat meñ azīzoñ kī agar kuchh kaam aa jaao
raqam bhī Duub jaatī hai adāvat aur baḌhtī hai
agar bikne pe aa jaao to ghaT jaate haiñ daam aksar
na bikne kā irāda ho to qīmat aur baḌhtī hai
safar mein mushkilen aaen to jurat aur baDhti hai
koi jab rasta roke to himmat aur baDhti hai
bujhane ko hawa ke sath gar barish bhi aa jae
charagh-e-be-haqiqat ki haqiqat aur baDhti hai
meri kamzoriyon par jab koi tanqid karta hai
wo dushman kyun na ho us se mohabbat aur baDhti hai
zarurat mein azizon ki agar kuchh kaam aa jao
raqam bhi Dub jati hai adawat aur baDhti hai
agar bikne pe aa jao to ghaT jate hain dam aksar
na bikne ka irada ho to qimat aur baDhti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.