Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

safar mein rasta badalne ke fan se waqif hai

Rehana Roohi

safar mein rasta badalne ke fan se waqif hai

Rehana Roohi

MORE BYRehana Roohi

    safar meñ rasta badalne ke fan se vāqif hai

    vo shaḳhs chehra badalne ke fan se vāqif hai

    huī hai chashm-e-shanāsā bhī ajnabī to khulā

    ki aañkh rishta badalne ke fan se vāqif hai

    hai aadhe shahr meñ bārish to aadhe shahr meñ dhuup

    havā ilāqa badalne ke fan se vāqif hai

    sunī-sunā.ī pe ik-dam yaqīn mat karnā

    ye ḳhalq qissa badalne ke fan se vāqif hai

    usī ke paas hukūmat hai ab qabīle

    ki jo qabīla badalne ke fan se vāqif hai

    kisī ko piñjra badalne shauq hai 'rūhī'

    koī parinda badalne ke fan se vāqif hai

    safar mein rasta badalne ke fan se waqif hai

    wo shaKHs chehra badalne ke fan se waqif hai

    hui hai chashm-e-shanasa bhi ajnabi to khula

    ki aankh rishta badalne ke fan se waqif hai

    hai aadhe shahr mein barish to aadhe shahr mein dhup

    hawa ilaqa badalne ke fan se waqif hai

    suni-sunai pe ik-dam yaqin mat karna

    ye KHalq qissa badalne ke fan se waqif hai

    usi ke pas hukumat hai ab qabile ki

    ki jo qabila badalne ke fan se waqif hai

    kisi ko pinjra badalne ka shauq hai 'ruhi'

    koi parinda badalne ke fan se waqif hai

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Rehana Roohi

    Rehana Roohi

    RECITATIONS

    Rehana Roohi

    Rehana Roohi,

    Rehana Roohi

    safar mein rasta badalne ke fan se waqif hai Rehana Roohi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now