safar mein tira-shabi ke azab itne hain
safar meñ tīra-shabī ke azaab itne haiñ
isī liye to pareshān ḳhvāb itne haiñ
jidhar bhī dekhiye dasht-e-tahayyurāt sā hai
jidhar bhī jā.iye ab inqalāb itne haiñ
tumhāre saath chaleñ ham ne bārhā sochā
hamārī jaan ko lekin azaab itne haiñ
qadam qadam pe hai imkāñ fareb kā yaaro
nazar nazar meñ yahāñ to sarāb itne haiñ
abhī hai duur har ik mahfil-e-tarab se 'suḳhan'
dil-o-nazar meñ abhī iztirāb itne haiñ
safar mein tira-shabi ke azab itne hain
isi liye to pareshan KHwab itne hain
jidhar bhi dekhiye dasht-e-tahayyuraat sa hai
jidhar bhi jaiye ab inqalab itne hain
tumhaare sath chalen hum ne barha socha
hamari jaan ko lekin azab itne hain
qadam qadam pe hai imkan fareb ka yaro
nazar nazar mein yahan to sarab itne hain
abhi hai dur har ek mahfil-e-tarab se 'suKHan'
dil-o-nazar mein abhi iztirab itne hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.