safar mein zindagi ke jab bhi waqt-e-sham aaega
safar meñ zindagī ke jab bhī vaqt-e-shām aa.egā
charāġh-e-rāh ban kar dāġh-e-hasrat kaam aa.egā
unhīñ kā naam le kar shaġhl-e-mai-noshī karo rindo
unhīñ ke naam kī mastī se lutf-e-jām aa.egā
azal se husn ko mā'sūmiyat kī shaan baḳhshī hai
ba-nām-e-'ishq hī aa.egā jo ilzām aa.egā
koī jā kar ye kah de hākim-e-shahr-e-nigārāñ se
sar-e-bāzār phir yūsuf pa-e-nīlām aa.egā
hamārā dil ye kahtā hai unheñ naama jo likkheñge
vahī naama palaT kar phir hamāre naam aa.egā
patā detā hai ashkoñ kā sar-e-mizhgāñ Thahar jaanā
ki ab un kā kisī ke haath kuchh paiġhām aa.egā
safar mein zindagi ke jab bhi waqt-e-sham aaega
charagh-e-rah ban kar dagh-e-hasrat kaam aaega
unhin ka nam le kar shaghl-e-mai-noshi karo rindo
unhin ke nam ki masti se lutf-e-jam aaega
azal se husn ko ma'sumiyat ki shan baKHshi hai
ba-nam-e-'ishq hi aaega jo ilzam aaega
koi ja kar ye kah de hakim-e-shahr-e-nigaran se
sar-e-bazar phir yusuf pa-e-nilam aaega
hamara dil ye kahta hai unhen nama jo likkhenge
wahi nama palaT kar phir hamare nam aaega
pata deta hai ashkon ka sar-e-mizhgan Thahar jaana
ki ab un ka kisi ke hath kuchh paigham aaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.