safar-nasib teri KHair ho salamati ho
safar-nasīb tirī ḳhair ho salāmatī ho
jahāñ-jahāñ bhī tirā pair ho salāmatī ho
ai achchhe dost duā hai kabhī ḳhudā na kare
kisī ko tujh se koī bair ho salāmatī ho
maiñ apne-pan se huuñ mahv-e-duā tumhāre liye
ye aur baat abhī ġhair ho salāmatī ho
bichhā diye haiñ mah-o-mehr maañ ke qadmoñ meñ
ki ghar meñ baiThe hue sair ho salāmatī ho
khile raheñ yūñhī sab ke liye duā ke gulāb
mire laboñ pe sadā ḳhair ho salāmatī ho
safar-nasib teri KHair ho salamati ho
jahan-jahan bhi tera pair ho salamati ho
ai achchhe dost dua hai kabhi KHuda na kare
kisi ko tujh se koi bair ho salamati ho
main apne-pan se hun mahw-e-dua tumhaare liye
ye aur baat abhi ghair ho salamati ho
bichha diye hain mah-o-mehr man ke qadmon mein
ki ghar mein baiThe hue sair ho salamati ho
khile rahen yunhi sab ke liye dua ke gulab
mere labon pe sada KHair ho salamati ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.