safar pe nikle to tanhaiyan bhi sath chalin
safar pe nikle to tanhā.iyāñ bhī saath chalīñ
tumhārī yaad kī parchhā.iyāñ bhī saath chalīñ
qadam qadam pe baḌhā fāsloñ kā sannāTā
qadam qadam pe sabhī dūriyāñ bhī saath chalīñ
gulāb-chehre bahut pīchhe chhoḌ aa.e magar
tumhāre gaañv kī rañgīniyāñ bhī saath chalīñ
vo sher sher fazā vo ġhazal ġhazal shāmeñ
hasīn lamhoñ kī sarmastiyāñ bhī saath chalīñ
rafāqatoñ se mahakte tilismī shām-o-sahar
mohabbatoñ kī ye purvā.iyāñ bhī saath chalīñ
vo ḳhushbū ḳhvāb dhuāñ yādoñ ke hasīñ mahtāb
tumhārī bazm kī ra.anā.iyāñ bhī saath chalīñ
chhalaktā jaa.e hai 'husnā' ḳhumār āñkhoñ se
nazar nazar kī ye be-ḳhvābiyāñ bhī saath chalīñ
safar pe nikle to tanhaiyan bhi sath chalin
tumhaari yaad ki parchhaiyan bhi sath chalin
qadam qadam pe baDha faslon ka sannaTa
qadam qadam pe sabhi duriyan bhi sath chalin
gulab-chehre bahut pichhe chhoD aae magar
tumhaare ganw ki ranginiyan bhi sath chalin
wo sher sher faza wo ghazal ghazal shamen
hasin lamhon ki sarmastiyan bhi sath chalin
rafaqaton se mahakte tilismi sham-o-sahar
mohabbaton ki ye purwaiyan bhi sath chalin
wo KHushbu KHwab dhuan yaadon ke hasin mahtab
tumhaari bazm ki ranaiyan bhi sath chalin
chhalakta jae hai 'husna' KHumar aankhon se
nazar nazar ki ye be-KHwabiyan bhi sath chalin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.