safar se aae to phir ek safar nasib hua
safar se aa.e to phir ik safar nasīb huā
ki 'umr-bhar ke liye kis ko ghar nasīb huā
vo ek chehra jo barsoñ rahā hai āñkhoñ meñ
kab us ko dekhnā bhī āñkh-bhar nasīb huā
tamām-'umr guzārī usī ke kāñdhe par
jo ek lamha hameñ muḳhtasar nasīb huā
havā meñ hilte hue haath aur nam āñkheñ
hameñ bas itnā hī zād-e-safar nasīb huā
huā ke ruḳh se pur-ummīd thā bahut gulshan
par ab ke bhī shajar-e-be-samar nasīb huā
bulandiyoñ kī havas meñ jo sab ko chhoḌ ga.e
kab un parindoñ ko apnā shajar nasīb huā
laboñ se niklīñ idhar aur udhar qubūl huiiñ
kahāñ du'āoñ meñ aisā asar nasīb huā
idhar chhupā.eñ to khil jaa.eñ dūsrī jānib
libās-e-zīst zarā muḳhtasar nasīb huā
'salīm' chāroñ-taraf tīrgī ke jaal ghane
pa ham ko neshtar-e-be-zarar nasīb huā
safar se aae to phir ek safar nasib hua
ki 'umr-bhar ke liye kis ko ghar nasib hua
wo ek chehra jo barson raha hai aankhon mein
kab us ko dekhna bhi aankh-bhar nasib hua
tamam-'umr guzari usi ke kandhe par
jo ek lamha hamein muKHtasar nasib hua
hawa mein hilte hue hath aur nam aankhen
hamein bas itna hi zad-e-safar nasib hua
hua ke ruKH se pur-ummid tha bahut gulshan
par ab ke bhi shajar-e-be-samar nasib hua
bulandiyon ki hawas mein jo sab ko chhoD gae
kab un parindon ko apna shajar nasib hua
labon se niklin idhar aur udhar qubul huin
kahan du'aon mein aisa asar nasib hua
idhar chhupaen to khil jaen dusri jaanib
libas-e-zist zara muKHtasar nasib hua
'salim' chaaron-taraf tirgi ke jal ghane
pa hum ko neshtar-e-be-zarar nasib hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.