safar tawil hai aur rahbar koi bhi nahin
safar tawil hai aur rahbar koi bhi nahin
Syed Tanvir Raza Abidi
MORE BYSyed Tanvir Raza Abidi
safar tavīl hai aur rāhbar koī bhī nahīñ
hamāre saath yahāñ ham-safar koī bhī nahīñ
tumhāre hijr meñ din-rāt maiñ taḌaptā huuñ
pe mere haal kī tum ko ḳhabar koī bhī nahīñ
tumhārā dil hai yā patthar ye mujh ko batlā do
ki merī aah kā is par asar koī bhī nahīñ
ye dard-e-hijr hai is kī visāl-e-yār sivā
zamāne bhar meñ davā kārgar koī bhī nahīñ
jo sang dil ko tere mom kar de pighlā kar
hamāre haath meñ aisā hunar koī bhī nahīñ
ye dasht-e-ishq hai 'tanvīr' bas ye yaad rahe
ki sāya-dār yahāñ par shajar koī bhī nahīñ
safar tawil hai aur rahbar koi bhi nahin
hamare sath yahan ham-safar koi bhi nahin
tumhaare hijr mein din-raat main taDapta hun
pe mere haal ki tum ko KHabar koi bhi nahin
tumhaara dil hai ya patthar ye mujh ko batla do
ki meri aah ka is par asar koi bhi nahin
ye dard-e-hijr hai is ki visal-e-yar siwa
zamane bhar mein dawa kargar koi bhi nahin
jo sang dil ko tere mom kar de pighla kar
hamare hath mein aisa hunar koi bhi nahin
ye dasht-e-ishq hai 'tanwir' bas ye yaad rahe
ki saya-dar yahan par shajar koi bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.