safar tawil sahi hasil-e-safar kya tha
safar tavīl sahī hāsil-e-safar kyā thā
hamāre paas ba-juz daulat-e-nazar kyā thā
laboñ se yuuñ to baraste the pyaar ke naġhme
magar nigāhoñ meñ yāroñ ke neshtar kyā thā
ye zulmatoñ ke parastār kyā ḳhabar hote
mirī navā meñ ba-juz muzhda-e-sahar kyā thā
har ek abr meñ hai ik lakīr chāñdī kī
vagarna apnī duāoñ meñ bhī asar kyā thā
hazār ḳhvāb luTe ḳhvāb dekhnā na gayā
yahī thā apnā muqaddar to phir mafar kyā thā
ġhurūr añdhere kā toḌā usī se haar gayā
numūd ek sharar kī thī yā bashar kyā thā
koī ḳhalish jo muqaddar thī umr bhar na ga.ī
ilaaj aise marīzoñ kā chāra-gar kyā thā
safar tawil sahi hasil-e-safar kya tha
hamare pas ba-juz daulat-e-nazar kya tha
labon se yun to baraste the pyar ke naghme
magar nigahon mein yaron ke neshtar kya tha
ye zulmaton ke parastar kya KHabar hote
meri nawa mein ba-juz muzhda-e-sahar kya tha
har ek abr mein hai ek lakir chandi ki
wagarna apni duaon mein bhi asar kya tha
hazar KHwab luTe KHwab dekhna na gaya
yahi tha apna muqaddar to phir mafar kya tha
ghurur andhere ka toDa usi se haar gaya
numud ek sharar ki thi ya bashar kya tha
koi KHalish jo muqaddar thi umr bhar na gai
ilaj aise marizon ka chaara-gar kya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.